Ibn-e-waaris hai mera naam, aur pehchaan ghumshuda
wasiyat par meri rindo se hala is kadar chalki.
Ibn-e-waaris hai mera naam, aur pehchaan ghumshuda
Jaane Ab main kya dhundhta hoon.
Mere hone ka maqsad, na hone se toh behtar hai.
Teri Ankhon mein us hone ki vajah dhundhta hoon
Main....
Ek mukamal mehtab dhundhta hoon
Baat karne ke liye ek baat dhundhta hoon
Tu taajir hai tera Haq hai, tijarat raat din karna
Main aatish hoon ek munaasib aaftaab dhundhta hoon
Maikad-e-makbara mera tasleem ho jaye.
Tu jis bhi taraf dekhe vo manzar haseen hojaye.
Main kafir hoon magar, ebadat teri, main bhi karta hoon
Ayate vo jo parte hai toh, shirkat main bhi karta hoon
Tere kabe pe mera Haq dil-e-momeen ho jaye
Maikad-e-makbara mera tasleem ho jaye.